Twitter Kahani – 1

Jab main shuru shuru main Twitter per aya tou Twitter ka mujhpe pehla impression ye tha k ye baray elite class k logon ki jagah hai. Parhay likhay nafees log, aur waqai wahan parhay likhay aur nafees log hote bhi hain jo Facebook ki tarah minnaton k baghair hi doosron ki madad kerne per razi ho jatay hain. Twitter per log waqai khud ko social media k elite samajhte hain, kyun ke ye 20 crore Pakistaniyon main se wo 25 lakh log hain jo Urdu aur English parhna likhna jantay hain aur usi wajah se khud ko "Facebookiyon” se behtar samajhte hain. Kyun k hum Twitteratis ne parh likh ker aur phir Twitter per muft account bana ker baqi Pakistan per ehsaan jo kiya hai isliay baqiyon ko kamtar samjhne ka humain poora haq haasil hai.

Main Pakistani Twitter users ko 2 tarah se dekhta hoon, aik wo hain jo kisi maqsad se Twitter istaimaal kertay hain aur apne durust istaimaal ki badolat waqai uss main kaamyab ho bhi jatay hain aur doosray wo jo pehle walon k maqsad ko poora hone ki raah rukawat hote hain kyun k wo paida bhi bari rukawaton k baad rukawatain daalnay k liay hote hain.

Main Twitter ko Karachi se tashbeeh doonga, jahan sab ke apne apne ilaaqay aur supporters hain, jahan dhamkiyan milna roz ka mamool hai. Har koi sirf apne group ko andhi support de ga chahay wo dunya ki buri tareen baat ker raha ho. Syasat, Badmashi aur aam user ki bezti ka baytahasha istaimaal. Twitter per bhi Abdul Sattar Edhi jese log apni ambulances le ker ghoomtay rehte hain aur zakhmiyon ki marham patti bhi ker dete hain.

Agar aap Twitter ko serious lete hain tou Twitter bhi aap ko serious le ga, ye aap ko farsh se arsh per, arsh se farsh per aur DM se tweet pe la sakta hai.

Baqi batain phir kabhi sahi.

ایک خیال “Twitter Kahani – 1” پہ

تبصرہ کریں